DIWANA DIL
yeh dil diiwaana
dil yeh dil...
yeh dil diiwaana
diiwaana hai yeh dil
diiwaane ne mujhko bhii kar Daala diiwaana
mai.n ne uske shahar ko chhoDa
uskii galii me.n dil ko toDa
phir bhii siine me.n dhaRakta hai yeh dil
mai.n ne dil se use nikaala
jo na karna tha kar Daala
phir bhii yaad uskii ko karta hai yeh dil
yeh dil diiwaana
diiwaana hai yeh dil
dil ki khata bhii hai kya
mujhko gila bhii hai kya
is dillagii ke siva dil ne kiya bhii hai kya
aashiq hai yeh chor nahii.n mai.n kya karuu.n
dil pe mera zor nahii.n hai mai.n kya karuu.n
aashiq hai yeh chor nahii.n mai.n kya karuu.n
dil pe mera zor nahii.n hai mai.n kya karuu.n
yeh dil diiwaana
diiwaana hai yeh dil
dil kaisa bepiir hai
voh ek tasviir hai
mai.n kahata huu.n toR de kahata hai z.anjiir hai
koii kachchii Dor nahii.n hai mai.n kya karuu.n
dil pe mera zor nahii.n hai mai.n kya karuu.n
koii kachchii Dor nahii.n hai mai.n kya karuu.n
dil pe mera zor nahii.n hai mai.n kya karuu.n
yeh dil diiwaana
diiwaana hai yeh dil
diiwaana dil
diiwaane ne mujhko bhii kar Daala diiwaana
diiwaana dil
mai.n ne uske shahar ko chhoDa
uskii galii me.n dil ko toDa
phir bhii siine me.n dhaRakta hai yeh dil
mai.n ne dil se use nikaala ;
jo na karna tha kar Daala .
phir bhii yaad uskii ko karta hai yeh dil
yeh dil diiwaana
diiwaana hai yeh dil
diiwaana dil
diiwaane ne mujhko bhii kar Daala diiwaana
diiwaana dil
yeh dil dil dil diiwaana dil...........
No comments:
Post a Comment